Drama

Mere Dil Mein Aayiye (Dholak)

By  | 

Movie: Dholak
Release: 1951
Featuring Actors: Ajit, Amir Banu
Music Directors: Shyam Sunder
Lyrics: Aziz Kashmiri
Singers: Shamshad Begum
Trivia:

Lyrics in Hindi

मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये
मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये
दोनों घर हैं आपके
दोनों घर हैं आपके
चाहे जहां बस जाइए
मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये

मेरे दिल से खेलिए
मर्ज़ी अगर है आपकी
मेरे दिल से खेलिए
मर्ज़ी अगर है आपकी
आईये के मेरी दुनिया
मुन्तज़िर है आपकी
आप को मेरी कसम
अब और न शर्माइये
दोनों घर हैं आपके
दोनों घर हैं आपके
चाहे जहां बस जाइए
मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये

मार डालेगी हमें
ये बेरुखी अच्छी नहीं
अच्छी नहीं
आपके सर की कसम
ये दिल्लगी अच्छी नहीं
बिन कहे आ जाईये
अब और न तड़पाइए
मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये

क्या खबर है ये हसीं
रातें रहें या न रहें
मदभरी आँखों की बरखा
फिर रहे या न रहें
मुस्कुराते आईए
मुस्कुराते जाइए
दोनों घर हैं आपके
दोनों घर हैं आपके
चाहे जहां बस जाइए
मेरे दिल में आईये
मेरी नज़र में आईये.


Lyrics in English

Mere dil mein aayiye
Meri nazar mein aayiye
Mere dil mein aayiye
Meri nazar mein aayiye
Donon ghar hain aapke
Donon ghar hain aapke
Chaahe jahaan bas jaayiye
Mere dil me aayiye
Meri nazar mein aayiye

Mere dil se kheliye
Marzi agar hai aapki
Mere dil se kheliye
Marzi agar hai aapki
Aayiye ke meri duniya
Muntazir hai aapki
Aap ko meri kasam
Ab aur na sharmaayiye
Donon ghar hain aapke
Donon ghar hain aapke
Chaahe jahaan bas jaayiye
Mere dil mein aayiye
Meri nazar mein aayiye

Maar daalegi hamen
Ye berukhi acchi nahi
Acchi nahi
Aapke sar ki kasam
Ye dillagi acchi nahin
Bin kahe aa jaayiye
Ab aur na tadpaayiye
Mere dil mein aayiye
Meri nazar mein aayiye

Kya khabar hai ye haseen
Raatein rahen ya na rahen
Madbhari aankhon ki barkha
Phir rahein yaa na rahen
Muskuraate aayiye
Muskuraate jaayiye
Donon ghar hain aapke
Donon ghar hain aapke
Chahe jahaan bas jaayiye
Mere dil mein aayiye
Meri nazar me aayiye.

Leave a Reply

Share via