Dance

Log Peete Hain (Faraar)

By  | 

Movie: Faraar
Release: 1965
Featuring Actors: Anil Chatterjee, Balraj Sahni
Music Director: Hemanta Kumar
Lyrics: Kaifi Azmi
Singer: Hemanta Kumar
Trivia:

https://youtu.be/WhYH8l_-LUI

Lyrics in Hindi

लोग पीते हैं लड़खड़ाते हैं
दिल से दुनिया का ग़म मिटाते हैं
लोग पीते हैं लड़खड़ाते हैं
दिल से दुनिया का ग़म मिटाते हैं
एक हम हैं के तेरी महफ़िल में
प्यासे आते हैं प्यासे जाते हैं

खुश हैं सब और ख़ुशी नहीं मिलती
ज़िंदा हैं ज़िन्दगी नहीं मिलती
जल रहे हैं चराग में दो के
जल रहे हैं चराग में दो के
और कहीं रोशनी नहीं मिलती
रौशनी का फरेब खाते हैं
रौशनी का फरेब खाते हैं
प्यासे आते हैं प्यासे जाते हैं
लोग पीते हैं लड़खड़ाते हैं

महकी महकी हुयी फ़ज़ा को सलाम
बहकी बहकी हुई हवा को सलाम
इन बहारों से तो भली है ख़िज़ाँ
इन बहारों से तो भली है ख़िज़ाँ
इन बहारों की हर अदा को सलाम
जिनमें सौ ज़ख्म मुस्कुराते हैं
जिनमें सौ ज़ख्म मुस्कुराते हैं
प्यासे आते हैं प्यासे जाते हैं
लोग पीते हैं लड़खड़ाते हैं
दिल से दुनिया का ग़म मिटाते हैं
एक हम हैं के तेरी महफ़िल में
प्यासे आते हैं प्यासे जाते हैं.


Lyrics in English

Log peete hain ladkhadaate hain
Dil se duniyaa ka gham mitaate hain
Log peete hain ladkhadaate hain
Dil se duniya ka gham mitaate hain
Ek ham hain ke teri mehfil mein
Pyaase aate hain pyaase jaate hain

Khush hain sab aur khushi nahin milti
Zinda hain zindagi nahin milti
Jal rahe hain charaag mein do ke
Jal rahe hain charaag mein do ke
Aur kahin raushni nahin milti
Raushni ka fareb khaate hain
Raushni ka fareb khaate hain
Pyaase aate hain pyaase jaate hain
Log peete hain ladkhadaate hain

Mehki mehki huyi fazaa ko salaam
Bahki bahki huyi hawaa ko salaam
In bahaaron se to bhali hai khizaan
In bahaaron se to bhali hai khizaan
In bahaaron ki har adaa ko salaam
Jinmein sau zakhm muskuraate hain
Jinmein sau zakhm muskuraate hain
Pyaase aate hain pyaase jaate hain
Log peete hain ladkhadaate hain
Dil se duniya ka gham mitaate hain
Ek ham hain ke teri mehfil mein
Pyaase aate hain pyaase jaate hain.

Leave a Reply

Share via